Namaz Ki Ahmeeyat Our Zaroorat

Aik Musalman Ki Zindagi main Namaz Ki Ahmeeyat Our Zaroorat








Namaz ke zariyai sai hum apnai rohani wujood ko pak saf 
kartai hain our Allah ka zikar our shukar adaa kartai hain.


Youn Allah sai hamara taaluq har waqat qaim wa daim rehta hai.Sahi shuoor ke sath namz sab sai barra zikar hai.



Namaz ke zariyai insaan Quran majeed sai bee aik musalsal taaluq qaim karta hain.






Namaz hamarai deen ka markaz wa mahoor hai. yai har aqil wa baligh insaan par lazim hain.

Namaz naa parrnai walu ko Quran majeed nai holnaak anjaam our zabardast raswaa-e sai dara ya hain.

Momin our ghair muslim kai darmayaan es tariqai sai had pasil hai.keh agar koi pard namaz parrnai sai inkaar kardai to islamee huqumat us ki shahri huqooq khatam kar sakti hai.


Bajumaat Namaz Ki Ahmeyat:

Quran majeed sirf namaz ada karnai ka huqam nahee daita balkai usai qaim karnai yanee us ka ihtemam karnai us ki barfoor hifazat karnai our usai sahee waqat par parrnai ka huqam detaa hai.





Wo hamai huqam deta hai keh hum purai iltemaz ke saat hamaisha namaz parrai. Mardo ke le-yai faraz namaz masjid mai jumaat ke saat parrnaa nihayat pasandedaa hai.

Comments