40 Hadees | Hazrat Muhammad(S.A.W) ke short chalees(40) Ahadees | in Urdu

Hazrat Mohammad ki hadees ka mafhuum hai ke jo shakhs meri ummat ke faiday aur deen 








ke kaam ke wastay 40 hadeesai dosaron ko sunadai aur hifz kere ga

Allah ? is ko qayamat ke din aalmon aur shaheedon ki saf mein utavai ga aur farmaiye ga ke 

jis darwazay se chaho jannat mein daakhil ho

Mein ney yeh hadesai yeh soch kar likhi hain ke mere dosray musalman bai is basharat ke 

mustahiq ho jai

Dostoo hadees mein aata ke jo shakhs dosaron ko neki ki raah pay gamzan kere is ko neki 

karne walay ke barabar ajar ho ga

> Ahadees(Hadith):

Ahadees darj zail hain :




1. Aamaal ka dar-o-madar niyat par hai
( bukhari, muslim )

2. Musalman woh hai jis ke haath aur zabaan
se dosra musalman mehfooz ho
( muslim )

3. Chughal Khor jannat mein daakhil nah hoga
( bukhari, muslim )

4. Pakizgee imaan ka hissa he
( muslim bukhari )

5. Aadmi ka chacha is ke baap ki manind hai
( bukhari, muslim )

>Best Ahadees(Hadith)

6. Mein aur yateem ki kifalat kar ne wala jannat mein sath hoon ge
( bukhari )

7. Tum mein ahcha woh hai jis ka ikhlaq ahcha ho
( bukhari, muslim )

8. Duniya momin ke liye qaid khanah aur kafir ke liye jannat hai
( muslim )

9. Jo reham nah kere Allah is par reham nahi karta
( bukhari )

10. Musalman aur kafir ke darmain namaz farq karti hai
( muslim )

11. Rishte daari kaatnay wala jannat mein daakhil nah ho ga
( bukhari ) ( muslim )

12. Haya imaan ka hissa hai
( bukhari ) ( muslim )

13. Allah ke nazdeek sab se pasandeeda amal woh hai jo Daimee ho agar chay thora ho
( bukhari ) ( muslim )

14. Jab tum haya nah karo to jo chahay karo
( bukhari ) ( muslim )

15. Musalman musalman ka bhai hai
( muslim )


>Top Ahadees(Hadith):

16. Momin nah pak nahi hota
( muslim, bukhari )

17. Is ghar mein rehmat ke farishtay nahi atay jis ghar mein kutta ya tasweer ho
( bukhari, muslim )

18. kisi par zulm qayamat ke din andheron ka sabab ho ga
( muslim )

19. Tkhno ke neechay jitna kapra ho ga itni jagah jahannum mein Jaigee.
( bukhari )

20. Kisi musalman ke liye ja-ez nahi ke apne momin bhai se teen din naraaz rahay
( muslim )

21. Allah ke nazdeek pasandeeda jagah masjid hai
( muslim )

22. Apne qareeb-almrg logon ko laa elah ila Allah ki Talqeen karo
( bukhari )

>Ahadees(Hadith):

23. tum mein sab se behtar woh hai jo quran parhta hai aur paratha hai
( bukhari )

24. Surah-qul-ho-Allah-ahad aik-tihai quran ke barabar ajar rakhti hai
( bukhari )

25. Deen sara sar khirkhwahi ka naam hai
( muslim )

26. Har naik baat sadqa hai
( bukhari, muslim )

27. Mein take laga kar khana pasand nahi karta
( muslim )

28. Muezzin qayamat ke din lambi gardanon walay hunge izzat ki wajah se
( muslim )


> Short Ahadees(Hadith):


29. Raastoon par bethnay se bachcho
( bukhari )

30. Zamane ko gaali nah do
( muslim )

31. Jab tum mein se ko-e khana ka-yai to da-yai haath se ka-yai
( muslim )

32. Qabron ko pakka karne se mana farmaya
( bukhari )

33. Allah laanat kere is par jo maa baap par laanat kere
( muslim )


> Last Ahadees(Hadith):


34. Dainay wala haath lainay walay hat se behtar hai
( muslim )

35. Musalmanoon ko gaali dena kbirh gunah hai aur qatal karna kufar hai
( bukhari, muslim )

36. Mazloom ki bud-dua se bachcho
( bukhari )

37. Jung dhoka dahi ka naam hai
( muslim, bukhaar y )

38. Be shak Allah khobsorat hai aur khoubsurti ko pasand karta hai
( muslim )

39. Jis ne hamein milawat wali cheez di woh hum mein se nahi
( muslim )

40. Namaz roshni hai
( muslim )

Dostoo is ko sadqa Jaria samajh ke share karo

Kyunkay ahadees pak mein aata hai ke logon ko neki ki raah par gamzan karne walay ko 

neki karne walay ke barabar ajar hota hai

Jazak-ALLAH

Comments

  1. explain things in detail and the purpose of written is clear
    keep it up
    tell you get your desire

    ReplyDelete
  2. Hadith number bhi de dete to kya hi Achha hota ...
    Khair JazakAllah u khiaran kathira...

    ReplyDelete
  3. hadees in urdu SubhanAllah MashaAllah Alhamdulillah ya RasoolAllah Mohammad Mustafaﷺ

    ReplyDelete
  4. Casino | Dr. Dental Care | Dr. Dental Care
    Dr. Dental Care is an online dentist education program that provides 제천 출장마사지 online practice 광양 출장안마 at Dr. Dental Care. Join Dr. Dental 이천 출장마사지 Care today 포항 출장안마 to start 시흥 출장샵

    ReplyDelete

Post a Comment